rañg-āmezī se paidā kuchh asar aisā huā
ḳhud musavvir apnī hī tasvīr kā shaidā huā
kyā nigāhoñ kī tashaffī ho ki bazm-e-dahr meñ
sāmne aatā hai har manzar mirā dekhā huā
khol kar āñkheñ zarā ye husn-e-mahr-o-māh dekh
diid ke qābil hai zarra charḳh par pahuñchā huā
ishq ne is dil ko dam lene kī fursat hī na dī
ek jab armān niklā dūsrā paidā huā
barq ke sho.aloñ munāsib hai mujhī ko phūñk do
kis kaleje se maiñ dekhūñ āshiyāñ jaltā huā
ik vahī apnā ḳhudā hai ik vahī hai apnā but
jis ke dar par sar jhukā dene se sar ūñchā huā
pahuñcho gar ik chāñd par sau aur aate haiñ nazar
āsmāñ jaane hai kitnī duur tak phailā huā
ab 'falak' hai ik na.ī duniyā kī dil kī justujū
ye zamīñ dekhī huī hai āsmāñ dekhā huā