ho ḳhudā kā karam irādoñ par
jī rahe haiñ kisī ke va.adoñ par
zindagī ko banā diyā hai chaman
phuul barseñ tumhārī yādoñ par
asliyat kyā hai ye ḳhudā jaane
zinda ab tak haiñ etiqādoñ par
paas aa kar gurez karte ho
zulm hai ye mirī murādoñ par
chhin ga.e taḳht bādshāhoñ ke
tañg duniyā hai shāh-zādoñ par
mil ke sab amn-o-chain se rahiye
la.anteñ bhejiye fasādoñ par
ai 'falak' naaz hai faqīrī meñ
mujh ko bosīda in libādoñ par