sukūn-e-dil ke liye aur qarār-e-jāñ ke liye
tumhārā naam hai kaafī mirī zabāñ ke liye
jo pur hai jaam to kuchh ḳhauf-e-hādsāt nahīñ
hamāre paas bhī bijlī hai āsmāñ ke liye
ḳhmūshī-e-rah-e-manzil se ye huā sābit
ki manzileñ bhī tarastī haiñ kārvāñ ke liye
misāl-e-shams-o-qamar gardishoñ meñ rahte haiñ
ḳhudā ne jin ko banāyā hai āsmāñ ke liye
havas ne ḳhuld ajal ne chhuḌā.ī ye duniyā
ḳhabar nahīñ mirī miTTī hai ab kahāñ ke liye
shab-e-firāq duā maañg kar guzārī hai
kabhī asar ke liye aur kabhī fuġhāñ ke liye
hamāre zehn meñ dil meñ lahū meñ urdu hai
jiyeñge aur mareñge isī zabāñ ke liye
pahuñch ga.e sar-e-manzil jo ham-safar the 'falak
hamīñ taraste rahe gard-e-kārvāñ ke liye