Heera Lal Falak Dehlvi

ku-e-jaanan mein ada dekhiye diwanon ki

Heera Lal Falak Dehlvi

kū-e-jānāñ meñ adā dekhiye dīvānoñ kī
dhajjiyāñ bāñTte phirte haiñ garebānoñ kī
ḳhaak uḌtī hai fazā meñ yūñhī parvānoñ kī
kaun letā hai ḳhabar soḳhta-sāmānoñ kī
husn kyā shai hai faqat zauq-e-nazar kī taskīn
ishq kyā chiiz hai taḳhlīq hai armānoñ kī
aap ruḳh sail-e-havādis kā badal detā hai
āsmāñ dekh ke gardish mire paimānoñ kī
aks gulshan pe bahāroñ kā paḌā thā lekin
khiñch ga.ī phuul pe tasvīr bayābānoñ kī
aaj sāhil pe pahuñch kar hī rahegī kashtī
aaj Takkar hai mire azm se tūfānoñ kī
hashr ke din vo ḳhatā-varoñ pe rahmat hogī
aañkh khul jā.egī jannat ke nigahbānoñ kī
ibn-e-ādam ne 'falak' hosh sambhālā jis dam
sab se pahle rakhī buniyād sanam-ḳhānoñ kī
Top Urdushayar.com