muqābil ik zamāna aur saf-ārā.ī merī
zamāne se bhī kab ho kar rahī paspā.ī merī
qadam hairat-sarā.e ke jahāñ tasḳhīr karte
Thahar jaatī kisī manzar pe jab bīnā.ī merī
kisī sāzish meñ laanā mudda.ā thā dostoñ kā
so pahle kī ga.ī thī hausla-afzā.ī merī
tamāshā-gāh se behtar kahīñ ḳhalvat-nashīnī
sahar-āsār hai mere liye tanhā.ī merī
bahut chāhā bahut rokā pe saare band TuuTe
ki aañkh us ko achānak dekh kar bhar aa.ī merī
muqayyad ho ke kab tak kaun rahtā hai ki 'mehdī'
galī-kūchoñ tak āḳhir aa ga.ī rusvā.ī merī