jab kabhī phūloñ ne ḳhushbū kī tijārat kī hai
pattī pattī ne havāoñ se shikāyat kī hai
yuuñ lagā jaise koī itr fazā meñ ghul jaa.e
jab kisī bachche ne qur.āñ kī tilāvat kī hai
jā-namāzoñ kī tarah nuur meñ ujlā.ī sahar
raat bhar jaise farishtoñ ne ibādat kī hai
sar uThā.e thiiñ bahut surḳh havā meñ phir bhī
ham ne palkoñ ke charāġhoñ kī hifāzat kī hai
mujhe tūfān-e-havādis se Darāne vaalo
hādsoñ ne to mire haath pe bai.at kī hai
aaj ik dāna-e-gandum ke bhī haqdār nahīñ
ham ne sadiyoñ inhīñ khetoñ pe hukūmat kī hai
ye zarūrī thā ki ham dekhte qiloñ ke jalāl
umr bhar ham ne mazāroñ kī ziyārat kī hai