sañg majnūñ pe laḌakpan meñ uThāyā kyuuñ thā
yaad ġhālib kī tarah sar mujhe aayā kyuuñ thā
baat ab ye nahīñ kyuuñ chhoḌā thā us ne mujh ko
baat to ye hai ki vo lauT ke aayā kyuuñ thā
kitne ma.asūm-sifat log the samjhe hī nahīñ
us ne par toḌ ke titlī ko uḌāyā kyuuñ thā
jis ke hāthoñ meñ nazar aate the patthar kal tak
us ne hī merī taraf phuul baḌhāyā kyuuñ thā
ab vo apne ko ḳhudā samjhe to ġhalatī kyā hai
man ke mandir meñ use tum ne basāyā kyuuñ thā