yaad tum aa.e to phir ban ga.iiñ bādal āñkheñ
dil ke vīrāne ko karne lagīñ jal-thal āñkheñ
merī āñkhoñ kā koī abr se rishta hai zarūr
TuuT ke barsī ghaTā jab huiiñ bojhal āñkheñ
ḳhvāb ko ḳhvāb samajhtī hī nahīñ jaane kyuuñ
DhūñDhtī rahtī haiñ ik shaḳhs ko pāgal āñkheñ
kaisā rishta hai ta.alluq hai ye kaisā āḳhir
choT to dil pe lagī ho ga.iiñ ghāyal āñkheñ
shoḳhiyāñ sharm-o-hayā nuur ke saa.e jheleñ
umr meñ pahle-pahal dekheñ mukammal āñkheñ
jis tarah koī ġhazal likkhī ho matle.a ke baġhair
yuuñ nazar aatī haiñ akasr binā kājal āñkheñ
ai 'shakīl' un se kaho pyaar se vo duur raheñ
dard kā bojh na sah pā.eñgī chanchal āñkheñ