us se gile shikāyateñ shikve bhī chhoḌ do
dar us kā chhuT gayā to darīche bhī chhoḌ do
kaisā hai vo kahāñ hai banā kis kā ham-safar
behtar hai kuchh savāl adhūre bhī chhoḌ do
ik bevafā kā naam likhoge kahāñ talak
aurāq apne maazī ke saade bhī chhoḌ do
jiine ke vāste na sahāre karo talāsh
jab Duub hī rahe ho to tinke bhī chhoḌ do
shāyad na.e makān meñ un kā na dil lage
ghar chhoḌne lago to parinde bhī chhoḌ do
jis ne tumheñ charāġhoñ se mahrūm kar diyā
us kī galī ke chāñd sitāre bhī chhoḌ do
dariyā se duur rahnā hī behtar hai ab 'shakīl'
dhāre se kaT ga.e to kināre bhī chhoḌ do