is ghar meñ mire saath basar kar ke to dekho
TuuTī huī kashtī meñ safar kar ke to dekho
dhartī se bichhaḌne kī sazā kahte haiñ kis ko
tūfāñ meñ jazīroñ pe nazar kar ke to dekho
ḳhvāboñ ko salīboñ pe sajā pāoge har sū
āñkhoñ ke bayābāñ se guzar kar ke to dekho
mumkin hai ki neze pe uThā le koī baḌh kar
maqtal ke havāle zarā sar kar ke to dekho
shāyad ke ubhar aa.eñ gharoñ ke dar-o-dīvār
us raakh ko tum ashkoñ se tar kar ke to dekho