Rahat Indori

charaghon ka gharana chal raha hai

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
charāġhoñ kā gharānā chal rahā hai
havā se dostāna chal rahā hai
javānī kī havā.eñ chal rahī haiñ
buzurgoñ kā ḳhazāna chal rahā hai
mirī gum-gashtagī par hañsne vaalo
mire pīchhe zamāna chal rahā hai
abhī ham zindagī se mil na paa.e
ta.āruf ġhā.ebāna chal rahā hai
na.e kirdār aate jā rahe haiñ
magar nāTak purānā chal rahā hai
vahī duniyā vahī sāñseñ vahī ham
vahī sab kuchh purānā chal rahā hai
ziyāda kyā tavaqqo.a ho ġhazal se
miyāñ bas āb-o-dāna chal rahā hai
samundar se kisī din phir mileñge
abhī pīnā-pilānā chal rahā hai
vahī mahshar vahī milne kā va.ada
vahī būḌhā bahānā chal rahā hai
yahāñ ik madrasa hotā thā pahle
magar ab kārḳhāna chal rahā hai
Top Urdushayar.com