Shakeel Shamsi

mujhko tere suluk se koi gila na tha

Shakeel Shamsi

mujh ko tire sulūk se koī gila na thā
zahr ab pī rahā thā magar lab-kushā na thā
kāñToñ se jism chhalnī hai merā isī liye
phūloñ se pyaar karne kā kuchh tajraba na thā
lākhoñ tamāsh-bīn haiñ aur ham salīb par
ik vaqt vo thā koī hameñ dekhtā na thā
kyā jaane us kī aañkh meñ kyuuñ ashk aa ga.e
chehre pe mere kuchh bhī to likhā huā na thā
duniyā samajh na pā.egī majbūriyāñ tirī
mujh ko to hai yaqīn ki tū bevafā na thā
kyā tū ne chhoḌ rakkhā hai zulfeñ sañvārnā
itnā to pahle maiñ kabhī uljhā huā na thā
ġhurbat kī chāñdnī ne dikhā.e the rāste
ham ko kisī charāġh se koī gila na thā
yādoñ ne dastakeñ to bahut baar diiñ 'shakīl'
lekin kisī ke dil kā darīcha khulā na thā
Top Urdushayar.com