Shakeel Shamsi

ladi hai phulon se phir bhi udas lagti hai

Shakeel Shamsi

ladī hai phūloñ se phir bhī udaas lagtī hai
ye shāḳh mujh ko mirī ġham-shanās lagtī hai
kisī kitāb ke andar dabī huī titlī
usī kitāb kā ik iqtibās lagtī hai
vo maut hī hai jo detī hai sau tarah ke libās
ye zindagī hai ki jo be-libās lagtī hai
thī qahqahoñ kī tamannā to aa ga.e aañsū
ḳhushī kī aarzū ġham kī asaas lagtī hai
uThā ke dekh sarāboñ ke aa.ine ko zarā
nadī ke paas bhalā kis ko pyaas lagtī hai
Top Urdushayar.com