kisī ke dast-e-talab ko pukārtā huuñ maiñ
uThāo haath mujhe maañg lo duā huuñ maiñ
mire azal aur abad meñ nahīñ hai fasl koī
abhī shurūa abhī ḳhatm ho gayā huuñ maiñ
basī hai mujh meñ yugoñ se ajiib vīrānī
badan se ruuh talak be-karāñ ḳhalā huuñ maiñ
na koī aag hai mujh meñ na raushnī na dhuāñ
kisī ke ḳhvāb meñ jaltā huā diyā huuñ maiñ
nazar ke vāste apnā nazāra kaafī hai
ḳhud apnā aks huuñ ḳhud apnā ā.īna huuñ maiñ
bhaTak rahā huuñ maiñ be-ant shāh-rāhoñ par
tumhāre shahr meñ bilkul nayā nayā huuñ maiñ