jitnā thā jiinā jī liye mar jaanā chāhiye
had ho ga.ī to had se guzar jaanā chāhiye
Thahre hue haiñ kab se ye mehmān kī tarah
āñkhoñ se āñsuoñ ko bikhar jaanā chāhiye
ye kyā ki roz qisse meñ tum sher hī bano
yaaro kabhī kabhār to Dar jaanā chāhiye
us kī galī meñ jaur-o-jafā aam hai bahut
us kī galī meñ yaar magar jaanā chāhiye
ab ke to ma.arka hai bahut saḳht ziist kā
ab ke to ma.arke meñ ye sar jaanā chāhiye
chal to rahe haiñ log yahāñ qāfile ke saath
lekin pata nahīñ hai kidhar jaanā chāhiye
yuuñ to mushā.eron se ye jī bhar gayā magar
kahnā 'obaid' kā hai 'qamar' jaanā chāhiye