kyā rañj ki yūsuf kā ḳharīdār nahīñ hai
ye shahr koī misr kā bāzār nahīñ hai
kyuuñ merī giraftārī pe hañgāma hai har sū
vo kaun hai jo terā giraftār nahīñ hai
kis kis pe ināyat na huī terī nazar kī
bas ek mirī samt guhar-bār nahīñ hai
kyuuñ jur.at-e-iz.hār pe hairān ho merī
abrū haiñ tumhāre koī talvār nahīñ hai
saaya hai mire sar pe 'qamar' dhuup shajar kā
baiThā huuñ jahāñ sāya-e-dīvār nahīñ hai