kār-zār-e-dahr meñ kyā nusrat-o-ġham dekhnā
ek bas apnā alam aur apnā parcham dekhnā
is tilism-e-asr-e-hāzir se jab āñkheñ jal uThīñ
duur jaltā ik charāġh-e-ism-e-āzam dekhnā
muntazir haiñ rāstoñ par hādse chalte hue
khol rakhnā apnī āñkheñ aur kam kam dekhnā
chāñd taare aur jugnū aur mirā rañg-e-hunar
ya.anī us ko yaad karnā us ko paiham dekhnā
hijr kī pur-soz rāteñ kis tarah ābād hoñ
shaad huuñ shādāb huuñ ai mere hamdam dekhnā