misāl-e-ḳhvāb hamesha kisī safar meñ rahe
ham apnī niiñd meñ bhī us kī rahguzar meñ rahe
kisī kī yaad ke bādal barasne vaale the
bahut ḳharāb thā mausam so aaj ghar meñ rahe
tamām umr usī jism se shikāyat thī
tamām umr usī jism ke khañDar meñ rahe
matā-e-dard ko āḳhir kahāñ kahāñ rakhte
so mere ganj-e-girāñ-māya-e-hunar meñ rahe
ye zindagī hai 'qamar' yā ki jañgaloñ kā safar
har ek lamha yahāñ rāh-e-pur-ḳhatar meñ rahe