Qamar Siddiqi

KHwab nahin hai sannaTa hai lekin hai tabir bahut

Qamar Siddiqi

Wasin, Uttar pradesh, India

1975
ḳhvāb nahīñ hai sannāTā hai lekin hai ta.abīr bahut
sachchī bāteñ kam kam haiñ aur jhuuT kī hai tash.hīr bahut
kyā kyā chehre haiñ āñkhoñ meñ shakleñ kyā kyā zehn meñ haiñ
yādeñ goyā album haiñ aur album meñ tasvīr bahut
qissa hai bas do-pal kā ye milne aur bichhaḌne kā
karne vaale ishq kī yuuñ to karte haiñ tafsīr bahut
ham to sāhab-e-ahl-e-junūñ haiñ duniyā khel-tamāshā hai
ahl-e-ḳhirad kī ḳhātir hogī duniyā kī zanjīr bahut
saarī shakleñ dhundlī dhundlī mub.ham sā hai manzar bhī
ḳhvāb kī kachchī buniyādoñ par karnī hai ta.amīr bahut
qissa ye mahdūd na thā kuchh hoñToñ kī ḳhāmoshī tak
kahne ko to kahtī thī un āñkhoñ kī tahrīr bahut
Top Urdushayar.com