Qamar Siddiqi

nawah-e-jaan mein ajab hadisa hua ab ke

Qamar Siddiqi

Wasin, Uttar pradesh, India

1975
navāh-e-jāñ meñ ajab hādisa huā ab ke
badan kā saarā asāsa bikhar gayā ab ke
zavāl aa gayā rishtoñ ke chāñd-sūraj ko
vo bhī ḳhamosh thā aur maiñ bhī chup rahā ab ke
aur us ne DhūñD liyā koī sā.ebān nayā
tamām raat maiñ hī bhīgtā rahā ab ke
ye duur duur yazīdī kī jaise hai tausī.a
machī hai chāroñ-taraf phir se karbalā ab ke
mujhe talāsh karo tum ufuq ke paas kahīñ
zamīñ se TuuT gayā merā rābta ab ke
vo kohar kohar se chehre dhuāñ dhuāñ sī fazā
'qamar' maiñ kaise koī ḳhvāb dekhtā ab ke
Top Urdushayar.com