dushman-vushman neza-veza ḳhanjar-vanjar kyā
ishq ke aage maat hai sab kī lashkar-vashkar kyā
ek tire hī jalve se raushan haiñ ye āñkheñ
sā.at-vā.at lamhe-vamhe manzar-vanzar kyā
tere ruup ke aage phīke chāñd-sitāre bhī
bālī-vālī kañgan-va.gan zevar-vevar kyā
terā naam hī antim sur hai dhartī-tā-ākāsh
sādhū-vadhū panDit-vanDit mantar-vantar kyā
yaar 'qamar' kī bātoñ kā kyā us kī ek hī raT
likhtā hai bas naam tirā vo kāfar-vāfar kyā