Qamar Siddiqi

soch ke is sune sahra ko jab se tera dhyan mila

Qamar Siddiqi

Wasin, Uttar pradesh, India

1975
soch ke is suune sahrā ko jab se terā dhyān milā
ham bhī gautam ban baiThe haiñ ham ko bhī nirvān milā
ham ne dekhā raat thī kaalī jis kā koī or na chhor
us ne ruḳh se zulf haTā.ī sūraj ko sammān milā
ḳhud sharmā.e sau bal khaa.e dekh ke apnā ruup sarūp
baat kī baat na samjhe yaaro kaisā hameñ nādān milā
ashk bhare haiñ nain kaTore ġham kī lazzat yaar na pūchh
ishq-nagar ke mehmānoñ kī ḳhātir kyā jalpān milā
raah ba-zāt-e-ḳhud maqsad hai chalte rahnā manzil hai
bastī bastī jañgal jañgal bhaTke to ye gyaan milā
Top Urdushayar.com