zahr ke tiir mire chāroñ taraf khīñchtā hai
kyā ajab shaḳhs hai apnoñ pe hadaf khīñchtā hai
phir vahī dil meñ udāsī ke umaDte bādal
phir vahī silsila-e-ḳhāk-o-ḳhazaf khīñchtā hai
phir vahī qahr vahī fitna-e-dajjal ke din
phir vahī qissa-e-as.hāb-e-kahaf khīñchtā hai
kaun sī soī huī pyaas kā rishta jaagā
aaj kyuuñ mujh ko ye sahrā-e-najaf khīñchtā hai
kaun se log the zulmāt ke sahrāoñ meñ
ki jinheñ martaba-e-izz-o-sharf khīñchtā hai