pahle to ik ḳhvāb thā ḳhākistar-o-ḳhāvar ke biich
ab añdherī shab hai haa.il us ke mere ghar ke biich
hādse jaise haiñ sab dekhe hue samjhe hue
koī hairānī nahīñ ab aañkh aur manzar ke biich
sab sipāhī apnī apnī zaat meñ masrūf the
shāhzāda ab ke tanhā hī laḌā lashkar ke biich
asr-e-hāzir ke sivā bhī kuchh zamāne aur haiñ
kuchh manāzir aur bhī haiñ āsmāñ manzar ke biich
ek ye tārīḳh hai paḌhte haiñ jis ko aaj ham
ik alag tārīḳh bhī hai raam ke bābar ke biich
lo 'qamar'-sāhab zamāna chaal apnī chal gayā
aap itnā hī chale bas ghar ke aur daftar ke biich