haiñ ab to hīle-bahāne ke qīl-o-qāl ke din
bhulā ke rakh diye tū ne mirī majāl ke din
ki dukh ne kūcha-e-shab paar kar liyā shāyad
tulūa hone lage is liye malāl ke din
har ek lafz pashemāñ pas-e-ġhubār-e-sukūt
javāb kī vo hoñ rāteñ ki phir savāl ke din
charāġh-e-saut-o-sadā aaj kuchh munavvar hai
visāl-e-shab ke qarīñ haiñ mire ġhazāl ke din
ye intizār kī ghaḌiyāñ ye shab kā sannāTā
us ek shab meñ bhare haiñ hazār saal ke din