Naz Butt

chaman sa dasht ta-hadd-e-nazar kitna hasin hai

Naz Butt

chaman sā dasht tā-hadd-e-nazar kitnā hasīñ hai
tū merā ham-qadam hai to safar kitnā hasīñ hai
mirī jānib lapaktī manziloñ se pūchh lenā
kisī ke saath chalne kā hunar kitnā hasīñ hai
vo mere sāmne baiThā huā hai merā ho kar
duā-e-nīm-shab kā ye asar kitnā hasīñ hai
zahe qismat ki saaye daar bhī hai bā samar bhī
mire sar par mohabbat kā shajar kitnā hasīñ hai
ajab ḳhvāb āshnā āñkheñ huī haiñ vasl kī shab
khulī hai aañkh to rañg-e-sahar kitnā hasīñ hai
maiñ hañstī kheltī huuñ jis ke ḳhvāb nā-rasā meñ
mirā ehsās hasrat hai magar kitnā hasīñ hai
nahīñ hai 'nāz' kam jannat se merā āshiyāna
mohabbat se muzayyan merā ghar kitnā hasīñ hai
Top Urdushayar.com