Rahat Indori

humne KHud apni rahnumai ki

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
ham ne ḳhud apnī rahnumā.ī kī
aur shohrat huī ḳhudā.ī kī
maiñ ne duniyā se mujh se duniyā ne
saikḌoñ baar bevafā.ī kī
khule rahte haiñ saare darvāze
koī sūrat nahīñ rihā.ī kī
TuuT kar ham mile haiñ pahlī baar
ye shurūāt hai judā.ī kī
so.e rahte haiñ oḌh kar ḳhud ko
ab zarūrat nahīñ razā.ī kī
manzileñ chūmtī haiñ mere qadam
daad diije shikasta-pā.ī kī
zindagī jaise-taise kāTnī hai
kyā bhalā.ī kī kyā burā.ī kī
ishq ke kārobār meñ ham ne
jaan de kar baḌī kamā.ī kī
ab kisī kī zabāñ nahīñ khultī
rasm jaarī hai muñh-bharā.ī kī
Top Urdushayar.com