tirā nasīb banūñ terī chāhatoñ meñ rahūñ
tamām umr mohabbat kī vahshatoñ meñ rahūñ
ḳhumār hasrat-e-dīdār meñ rahūñ har dam
savād-e-ishq yūñhī terī shiddatoñ meñ rahūñ
ye zindagī kī harārat tire sabab se hai
maiñ lamha lamha junūñ kī tamāzatoñ meñ rahūñ
ye ehtimām-e-shab-o-roz ho mirī ḳhātir
tire ḳhayāl kī rañgīn ḳhalvatoñ meñ rahūñ
sañvārtī haiñ sadā jis kī chāhateñ mujh ko
mirī duā hai ki maiñ us kī hasratoñ meñ rahūñ
ai abr-e-vasl baras aur khul ke mujh pe baras
maiñ bhīgī bhīgī havā kī sharāratoñ meñ rahūñ
sharīk-e-shauq-e-safar hai agar vo merā 'nāz'
maiñ kyuuñ na mausam-e-gul kī bashāratoñ meñ rahūñ