Naz Butt

dil-o-nigah ki hairat main rah gae hain hum

Naz Butt

dil-o-nigāh kī hairat maiñ rah ga.e haiñ ham
ḳhumār-e-ḳhvāb kī lazzat meñ rah ga.e haiñ ham
churā ke le ga.ī duniyā-e-pur-fareb us ko
aur apnī saada tabī.at meñ rah ga.e haiñ ham
hameñ to khīñch rahā thā safar tirī jānib
bas is jahāñ kī rivāyat meñ rah ga.e haiñ ham
vo dekhtā hai ki jaise na ham ko dekhā ho
is aa.ine kī sharārat meñ rah ga.e haiñ ham
hameñ talāsh rahā thā visāl kā lamha
kisī ke hijr kī saa.at meñ rah ga.e haiñ ham
havā ke saath kahāñ tak gulāb jā sakte
bikhar ke rāh-e-mohabbat meñ rah ga.e haiñ ham
vo apne ḳhvāb ke hamrāh jā chukā hai naaz
akele apnī haqīqat meñ rah ga.e haiñ ham
Top Urdushayar.com