harīs-e-ḳhvāhish-e-la.al-o-guhar nahīñ huī maiñ
mohabbatoñ meñ talabgār-e-zar nahīñ huī maiñ
tirā ḳhayāl rahā dil kī dhaḌkanoñ ke qarīñ
so tere ġham se kabhī be-ḳhabar nahīñ huī maiñ
sajāyā ḳhud ko vafā ke siñghār se maiñ ne
isī sabab se kabhī be-hunar nahīñ huī maiñ
kisī ko kaise batātī maiñ manziloñ kā pata
jab apne saath sharīk-e-safar nahīñ huī maiñ
ḳhudā-e-husn-azal ne mujhe navāzā hai
ḳhumār-e-ishq se sarf-e-nazar nahīñ huī maiñ
hai us kā da.avā ki maiñ us kī zindagī huuñ 'nāz'
vo kyā karegā kisī din agar nahīñ huī maiñ