maiñ us meñ aks-e-talab apnā DhūñDhtī hī rahī
magar vo chashm-e-mohabbat ki ajnabī hī rahī
vo ik charāġh jo us lams ne jalāyā thā
mire badan meñ sadā us kī raushnī hī rahī
qarār paayā nahīñ tere qurb meñ bhī magar
tujhe gañvā ke bhī is dil meñ be-kalī hī rahī
go muḳhtasar the bahut tere vasl ke lamhe
tamām umr tire ġham se dostī hī rahī
ḳhudā nahīñ to magar umr bhar mohabbat meñ
tire huzūr jabīn-e-vafā jhukī hī rahī