Rahat Indori

andar ka zahr chum liya dhul ke aa gae

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
andar kā zahr chuum liyā dhul ke aa ga.e
kitne sharīf log the sab khul ke aa ga.e
sūraj se jañg jītne nikle the bevaqūf
saare sipāhī mom ke the ghul ke aa ga.e
masjid meñ duur duur koī dūsrā na thā
ham aaj apne aap se mil-jul ke aa ga.e
nīñdoñ se jañg hotī rahegī tamām umr
āñkhoñ meñ band ḳhvāb agar khul ke aa ga.e
sūraj ne apnī shakl bhī dekhī thī pahlī baar
ā.īne ko maze bhī taqābul ke aa ga.e
anjāne saa.e phirne lage haiñ idhar udhar
mausam hamāre shahr meñ kābul ke aa ga.e
Top Urdushayar.com