yahāñ kise hañsne kī fursat rakkhī hai
ek se nimTo dūsrī aafat rakkhī hai
har jānib ik khel hai āpā-dhāpī kā
manzar manzar kaisī vahshat rakkhī hai
sochūñ to bāzār bhī chhoTā lagtā hai
ghar ke andar itnī zarūrat rakkhī hai
tere dil ko pyaar se mālā-māl kare
phuul ke andar jis ne nik.hat rakkhī hai
ek ke dukh meñ saare royā karte haiñ
ghar meñ abhī ajdād kī daulat rakkhī hai