Rahat Indori

kahin akele mein mil kar jhinjhoD dunga use

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
kahīñ akele meñ mil kar jhiñjhoḌ dūñgā use
jahāñ jahāñ se vo TuuTā hai joḌ dūñgā use
mujhe vo chhoḌ gayā ye kamāl hai us kā
irāda maiñ ne kiyā thā ki chhoḌ dūñgā use
badan churā ke vo chaltā hai mujh se shīsha-badan
use ye Dar hai ki maiñ toḌ phoḌ dūñgā use
pasīne bāñTtā phirtā hai har taraf sūraj
kabhī jo haath lagā to nichoḌ dūñgā use
maza chakhā ke hī maanā huuñ maiñ bhī duniyā ko
samajh rahī thī ki aise hī chhoḌ dūñgā use
Top Urdushayar.com