qabza mire badan pe mirī ḳhvāhishoñ kā hai
bastī mirī pe raaj mire dushmanoñ kā hai
qalb-o-nazar meñ nuur na.e tajraboñ kā hai
ehsān kis qadar ye badaltī rutoñ kā hai
chehre se dhul chukī mirī bedāriyoñ kī raakh
āñkhoñ meñ kuchh ḳhumār abhī ratjagoñ kā hai
tū so rahā thā aur maiñ dastak na de sakā
kitnā ḳhayāl mujh ko tirī rāhatoñ kā hai
shāyad vo aaj merī tarah hī thā be-qarār
yā ye bhī koī aks mirī uljhanoñ kā hai
chaltī hai jis tarah se tirī nabz tez tez
andāz hū-ba-hū ye mirī dhaḌkanoñ kā hai
jin ke tufail sabz hai kohsār kā badan
sailāb vādiyoñ meñ unheñ bārishoñ kā hai
dīvāngī meñ merī nahīñ hai kisī kā haath
saarā qusūr us meñ mirī ādatoñ kā hai
dil muztarib hai aur siyāhat hai be-maza
jaadū abhī hamāre saroñ par gharoñ kā hai
kyā jāneñ kis tarah se use tai kareñge ham
darpesh ik safar jo ghane jañgaloñ kā hai
'betāb' apne haal pe mātam na kyuuñ karūñ
mujh ko abhī to rañj luTī sā.atoñ kā hai