banā hai dushman-e-gul jab se bāġhbāñ apnā
bharī bahār meñ jaltā hai āshiyāñ apnā
agar ho izn to ai mīr-e-kārvāñ pūchhūñ
chalā hai kaun sī manzil ko kārvāñ apnā
ab is galī meñ mirā koī ham-jalīs nahīñ
qadam qadam pe jahāñ kal thā rāz-dāñ apnā
jahāz apne harīfoñ ke be-shumār sahī
karo na fikr ki dariyā hai be-karāñ apnā
zamīñ ke fitnoñ se ham kis liye Dareñ 'betāb'
ki āsmān hai har lamha pāsbāñ apnā