kal talak qaane rahā jo gardish-e-taqdīr par
musta.id hai aaj vo āfāq kī tasḳhīr pur
shor-o-ġhul meñ shahar ke us kī sadā bhī kho ga.ī
naaz thā jis ko ki apne nutq kī tāsīr par
jo bharī mahfil ke dil meñ raushnī phailā ga.ī
vo ḳhafā hai aaj tak merī isī taqrīr par
aur jab vo le sakā mujh se na koī intiqām
Daal dī ik ḳhaak kī muTThī mirī tasvīr par
apne hī jazbāt ke aage na kuchh us kī chale
vo jo qādir hai ḳhalāoñ kī kaThin tasḳhīr par
kyuuñ na duuñ maiñ dūsroñ ko ratjage kā mashvara
maiñ ki ḳhud nādim huuñ apne ḳhvāb kī ta.abīr par
jab se likhā hai qasīda maiñ ne us kī shaan meñ
rashk sā aane lagā us ko mirī tahrīr par
āḳhirash vo zīnat-e-āġhosh-e-gum-nāmī huā
vo jo ḳhush hotā thā apnī khokhlī tash.hīr par
kis tarah 'betāb' us ne chhū liye barbat ke taar
haath jo rakhā huā thā qabza-e-shamshīr par