ḳhushbū mire badan meñ rachī hai ḳhalāoñ kī
maiñ sair kar rahā huuñ abhī tak fazāoñ kī
mat rok apne lab pe nazar kī haqīqateñ
terī har ik sadā hai amānat havāoñ kī
hai kaun jo karegā sadāqat se mol-tol
qīmat talab karūñ bhī to kis se vafāoñ kī
uTThī haiñ is tarah se havādis kī āñdhiyāñ
miTTī meñ taab mil ga.ī rañgīñ qabāoñ kī
shahroñ meñ aa ke nuur ke sāñche meñ Dhal ga.ī
miTTī vahī ki raakh thī galiyoñ meñ gaañv kī
'betāb' aaj DhūñDne nikleñ kidhar amaañ
ab shahr shahr ban chukā bastī balāoñ kī