Saleem Betab

dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974
dāstānoñ meñ vo jaadū hai na tafsīroñ meñ hai
jo tirī āñkhoñ kī be-āvāz taqrīroñ meñ hai
rā.egāñ haiñ kal kī ḳhushiyāñ kal ke ġham bhī be-asar
ab bhalā rakkhā hī kyā maazī kī tasvīroñ meñ hai
terī āñkhoñ meñ agar paḌhne kī himmat hai to paḌh
karb kā mazmūñ mire māthe kī tahrīroñ meñ hai
us ke ik ik añg meñ vo bārhā paa.ī ga.ī
jo tanāsub kī kashish tarshe hue hīroñ meñ hai
vo chubhan sheroñ meñ Dhal jaa.e to mahshar ho bapā
jo abhī us shaḳhs kī guftār ke tīroñ meñ hai
har-qadam par chīḳh uThtī hai hazāroñ ghanTiyāñ
naġhmagī kaisī mire paañv kī zanjīroñ meñ hai
aañkh khulte hī ajab dhaḌkā sā dil ko lag gayā
vo kahāñ sapnoñ meñ thā jo un kī ta.abīroñ meñ hai
mutma.in haiñ ham kisī sūrat na manzar se haiñ ḳhush
nā-shakebā.ī kā nashtar apnī taqdīroñ meñ hai
dhuup kī shiddat ne un ko kar diyā garche niDhāl
phir bhī chalne kī lagan 'betāb' rahgīroñ meñ hai
Top Urdushayar.com