maiñ pujārī thā magar merā koī mandar na thā
jo bhī thā pahlū meñ mere vo mirā dilbar na thā
kis qadar dilkash lagīñ sapne meñ galiyāñ shahr kī
khul ga.ī jab aañkh to phir vo hasīñ manzar na thā
jaane kyā shai dil ke ā.īne ke TukḌe kar ga.ī
dekhne meñ us ke hāthoñ meñ koī patthar na thā
bad-havāsī thī mirī yā tujh se milne kī lagan
jis pe dastak de rahā thā maiñ vo terā ghar na thā
baiThe baiThe yuuñ lagā jaise pukāre tū mujhe
khol kar dekhā jo darvāza koī bāhar na thā
vo to thā shāyad koī 'betāb' patthar kā badan
chhū ke dekhā thā jise maiñ ne tirā paikar na thā