sisaktī rut ko mahaktā gulāb kar dūñgā
maiñ is bahār meñ sab kā hisāb kar dūñgā
maiñ intizār meñ huuñ tū koī savāl to kar
yaqīn rakh maiñ tujhe lā-javāb kar dūñgā
hazār pardoñ meñ ḳhud ko chhupā ke baiTh magar
tujhe kabhī na kabhī be-naqāb kar dūñgā
mujhe bharosa hai apne lahū ke qatroñ par
maiñ neze neze ko shāḳh-e-gulāb kar dūñgā
mujhe yaqīn ki mahfil kī raushnī huuñ maiñ
use ye ḳhauf ki mahfil ḳharāb kar dūñgā
mujhe gilās ke andar hī qaid rakh varna
maiñ saare shahr kā paanī sharāb kar dūñgā
mahājanoñ se kaho thoḌā intizār kareñ
sharāb-ḳhāne se aa kar hisāb kar dūñgā