sahrāoñ meñ jā pahuñchī hai shahroñ se nikal kar
alfāz kī ḳhushbū mire hoñToñ se nikal kar
siine ko mire kar gayā ik aan meñ raushan
ik nuur kā kauñdā tirī āñkhoñ se nikal kar
maiñ qatra-e-shabnam thā magar aaj huuñ sūraj
aa baiThā huuñ maiñ sadiyoñ meñ lamhoñ se nikal kar
ho jā.eñge bastī ke dar-o-bām munavvar
sūraj abhī chamkegā darīchoñ se nikal kar
kyā jāniye ab kaun sī jānib ko gayā hai
ik zard sā chehra tirī galiyoñ se nikal kar
har samt thā ik talḳh haqā.eq kā samundar
dekhā jo tasavvur ke jazīroñ se nikal kar
vo pyaas hai miTTī pe zabāñ pher rahe haiñ
ham aa.e haiñ ehsās ke sho.aloñ se nikal kar
har aan sadā dete haiñ ma.asūm ujāle
'betāb' chale aao dhuñdlakoñ se nikal kar