Saleem Betab

phulon ki hai taKHliq ki shoalon se bana hai

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974
phūloñ kī hai taḳhlīq ki sho.aloñ se banā hai
kandan sā tirā jism jo ḳhushbū meñ basā hai
jañgal ke ġhazāloñ pe ajab ḳhauf hai taarī
tūfān koī shahr kī jānib se uThā hai
ye husn-e-chaman hai mire ehsās kī taḳhlīq
varna kahīñ gul hai na kahīñ mauj-e-sabā hai
har lafz tire chehre kī tasvīr banā thā
kis karb se sau baar tire ḳhat ko paḌhā hai
Daalo mire kānoñ meñ bhī pighlā huā siisa
ai barhamno maiñ ne bhī to ved sunā hai
tum DhūñDte phirte ho jise sehn-e-chaman meñ
vo shaḳhs abhī kūcha-e-qātil ko gayā hai
Top Urdushayar.com