Saleem Betab

yun sunahri dhup bikhri hai ruKH-e-kohsar par

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974
yuuñ sunahrī dhuup bikhrī hai ruḳh-e-kohsār par
jis tarah ġhāza chamaktā hai tire ruḳhsār par
uḌte lamhoñ ko pakaḌne kī tamannā hai abas
ye parinde to kabhī Tikte nahīñ ashjār par
vo mire chehre pe kyā maazī kī tahrīreñ paḌhe
us kī nazreñ to jamī haiñ aaj ke aḳhbār par
aaj to ik hādisa us ko bhī nañgā kar gayā
laakh parde the paḌe jis shaḳhs ke kirdār par
aarzū ye hai ki tū ai kaash ho jaa.e amar
naam terā likh rahā huuñ ret kī dīvār par
kaise kaise log āḳhir kis tarah rauñde ga.e
kaun hai 'betāb' qādir vaqt kī raftār par
Top Urdushayar.com