hoñToñ pe mohr bhī nahīñ naġhmāt bhī nahīñ
ai mehrbāñ ye shahr-e-tilismāt bhī nahīñ
shahroñ meñ gaam gaam pe lākhoñ gunā sahī
ma.asūm itne aaj ke dehāt bhī nahīñ
vo baiThtā hai shahar ke hotel meñ aaj bhī
mere nasīb meñ koī fōtpath bhī nahīñ
ab zehn meñ bhī qaus-e-quzah phūTtī nahīñ
hāthoñ meñ mere aaj tirā haath bhī nahīñ
vo aa.e bhī to kis tarah Dolī meñ baiTh kar
dūlhā nahīñ huuñ maiñ koī bārāt bhī nahīñ
sarmā kī raat rail kā Dibbā udāsiyāñ
lambā safar hai aur tirā saath bhī nahīñ