Saleem Betab

kar gae ashk meri aankh ko jal-thal kya kya

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974
kar ga.e ashk mirī aañkh ko jal-thal kyā kyā
ab ke barsā hai tirī yaad kā bādal kyā kyā
jis taraf dekhiye ik qaus-e-quzah hai raqsāñ
rañg bhartā hai fazā meñ tirā āñchal kyā kyā
tū to chup-chāp thā lekin tujhe ma.alūm nahīñ
kah gayā merī nazar se tirā kājal kyā kyā
shahr-e-saffāk kī be-dard guzargāhoñ meñ
jagmagāte haiñ charāġh-e-sar-e-maqtal kyā kyā
kis liye jaa.eñ bhalā dasht ko ham dīvāne
shahr hī bante chale jaate haiñ jañgal kyā kyā
ab bhī har moḌ pe ik tishna-labī hai 'betāb'
yuuñ to is shahr pe barsā kiye bādal kyā kiyā
Top Urdushayar.com