ik aan meñ hī yuuñ tirā paikar badal gayā
jaise stage par koī manzar badal gayā
suntā nahīñ hai koī bhī merī pukār ko
dastak badal ga.ī ki mirā ghar badal gayā
ik aan meñ hī sab dar-o-dīvār dhul ga.e
bārish se shahr-bhar kā muqaddar badal gayā
ḳhalvat meñ jis ke lab pe the merī vafā ke giit
vo shaḳhs mere sāmne aa kar badal gayā
'betāb' ab to had-e-nazar tak hī ret hai
rātoñ hī raat kitnā samundar badal gayā