paḌā huā maiñ kisī aa.ine ke ghar meñ huuñ
ye terā shahr hai yā ḳhvāb ke nagar meñ huuñ
uḌaa.e phirtī hai an-dekhe sāhiloñ kī havā
maiñ ek umr se ik be-karāñ safar meñ huuñ
tujhe ye vahm ki maiñ tujh se be-ta.alluq huuñ
mujhe ye dukh ki tire halqa-e-asar meñ huuñ
mirī talāsh meñ gardāñ haiñ tiir kirnoñ ke
chhupā huā maiñ ḳhunuk sāya-e-shajar meñ huuñ
maiñ terī samt bhī ā.ūñgā ma.arifat ko tirī
abhī to apne hī irfāñ kī rahguzar meñ huuñ
tirī uḌaan meñ shāmil hai tarbiyat merī
mujhe na bhuul ki maiñ tere bāl-o-par meñ huuñ
bulā rahā hai udhar mujh ko merā mustaqbil
ghirā huā maiñ idhar haal ke bhañvar meñ huuñ
rakhegī tujh ko mo.attar sadā mahak merī
rachā huā maiñ tire ghar ke bām-o-dar meñ huuñ
mirī parakh ko bhī ā.eñge jauharī 'betāb'
huuñ la.al-e-nāb magar shahr-e-kam-nazar meñ huuñ