Saleem Betab

usko dekha tha faqat do-chaar lamhon ke liye

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974
us ko dekhā thā faqat do-chār lamhoñ ke liye
ho ga.e tanhā jahāñ meñ kitnī sadiyoñ ke liye
raat kā pichhlā pahar mujh ko bashārat de gayā
aa rahī hai raushnī tārīk galiyoñ ke liye
koī sī rut ho sadā paayā hai un ko sogvār
mausamoñ kā qahr hai ma.asūm pattoñ ke liye
ab koī chehra koī manzar hameñ rokegā kyā
uTh chuke apne qadam pur-pech rastoñ ke liye
ek gul hai tujh ko pyārā ek gul mujh ko aziiz
kitne pāgal ho ga.e ham log rañgoñ ke liye
jin kā saaya maaoñ kī āġhosh se kuchh kam na thā
qatl ke ahkām haiñ ab un daraḳhtoñ ke liye
ab na.e pahlū se dekhā chāhiye bāhar kā rañg
muntaḳhab kiije na.ī jag.heñ darīchoñ ke liye
zaat ke tārīk ġhāroñ meñ darīche kholiye
rāsta koī to ho sūraj kī kirnoñ ke liye
kījiye 'betāb' raushan apnī palkoñ par diye
raushnī darkār hai be-nūr kamroñ ke liye
Top Urdushayar.com