Saleem Betab

chamke hue hain diwar-o-dar raunaq hai bazaron mein

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974

chamke hue haiñ dīvār-o-dar raunaq hai bāzāroñ meñ

kaise kaise log aa.e haiñ kaisī kaisī caroñ meñ

maiñ to us ke sāmne baiThā us chehra paḌhtā thā

jaane vo kyā DhūñD rahā thā añgrezī aḳhbāroñ meñ

vo bhī din the jab har chhuTTī tere saath guzartī thī

aaj magar rakkhā kyā hai haftoñ aur itvāroñ meñ

jaane kis farhād tesha kis ke jigar ko chiir gayā

ḳhuun dhāreñ dekh rahā huuñ patthar dīvāroñ meñ

jin logoñ ke aql-o-hunar dhuum machī thī aalam meñ

un ko bhī dekhā hai rusvā shāhoñ ke darbāroñ meñ

phuul se chehre shāḳh bāñheñ jab galiyoñ meñ miltī haiñ

kaun bhalā phir sair ko jaa.e hare-bhare gulzāroñ meñ

to merī ma.asūm nazar ko bul-havasī dosh na de

maiñ to ḳhud ko dekh rahā huuñ tere hasīñ ruḳhsāroñ meñ

aao un ko bāhar kar taaza havā meñ biThlā.eñ

log chhupe baiThe haiñ kab se apnī zaat ke ġhāroñ meñ

ab ke to 'betāb' murī meñ kuchh kuchh aag barastī thī

jalte sahrā aa nikle the bhīge hue kohsāroñ meñ

Top Urdushayar.com